Kaise kahun mai hota hai kya
Jo dard humne khud hai saha
Lagta har pal woh saalon sa
Zindagi ka saath hume na mila
Dur tumse hum ho chale
Yun hi khud ko hi kho chale
Raah tumse bicharti gayi
Yun hi bekhabar hum ho chale
tumko hum woh de na sake
jo chahte the woh kah na sake
raat yuhi tanhaa hi thi
unki yaadein magar saath thi
unko maloom ho na saka
ki raat thi kitni hairan si
bas unki yaadon ka tha saama
ke hum to unmein sama hi chale